Sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke tal gai
Dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal gai
Bazm-e-khayal mei tere husn ki shama jal gai
Dard ka chand bujh gaya hijr ki raat dhal gai
Jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak uthi
Jab tera gham jaga liya raat machal machal gai
Dil se to har moamla kar ke chale the saaf ham
Kahne mei un ke samne baat badal badal gai
Akhir-e-shab ke ham-safar 'Faiz' na jaane kya hue
Rah gai kis jagah saba subh kidhar nikal gai


No comments
Post a Comment