Raha gar koi ta-qayamat salamat
Phir ik roz marna hai hazrat salamat
Jigar ko mere ishq-e-khoon-naba-mashrab
Likhe hai khudavand-e-nemat salamat
Alarraghm-e-dushman shahid-e-vafa hun
Mubarak mubarak salamat salamat
Nahin gar sar-e-barg-e-idrak-e-maani
Tamasha-e-nairang-e-surat salamat
Do-alam ki hasti pe khatt-e-fana khinch
Dil-o-dast-e-arbab-e-himmat salamat
Nahin gar ba-kam-e-dil-e-khasta gardun
Jigar-khai-e-josh-e-hasrat salamat
Na auron ki sunta na kahta hun apni
Sar-e-khasta dushvar-e-vahshat salamat
Vafur-e-bala hai hujum-e-vafa hai
Salamat malamat malamat salamat
Na fikr-e-salamat na bim-e-malamat
Ze-khud-raftagi-ha-e-hairat salamat
Rahe 'Ghalib'-e-khasta maghlub-e-gardun
Ye kya be-niyazi hai hazrat salamat
No comments
Post a Comment