Saturday, 6 October 2018

RAFTAR-E-UMR QAT-E-RAH-E-IZTIRAB HAI


Raftar-e-umr qat-e-rah-e-iztirab hai
Is saal ke hisab ko barq aftab hai

Mina-e-mai hai sarv nashat-e-bahar se
Bal-e-tadrrav jalva-e-mauj-e-sharab hai

Zakhmi huwa hai pashna pa-e-sabat ka
Ne bhagne ki guun na iqamat ki taab hai

Jadad-e-bada-noshi-e-rindan hai shash-jihat
Ghafil guman kare hai ki gitti kharab hai

Nazzara kya harif ho us barq-e-husn ka
Josh-e-bahar jalve ko jis ke naqab hai

Main na-murad dil ki tasalli ko kya karun
Maana ki tere rukh se nigah kamyab hai

Guzra 'Asad' masarrat-e-paigham-e-yar se
Qasid se mujh ko rashk-e-saval-o-javab hai

Zahir hai tarz-e-qaid se sayyad ki gharaz
Jo daana daam mei hai so ashk-e-kabab hai

Be-chashm-e-dil na kar havas-e-sair-e-lala-zar
Yaani ye har varaq varaq-e-intikhab hai

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.