Qatra-e-mai bas-ki hairat se nafas-parvar huwa
Khatt-e-jam-e-mai sarasar rishta-e-gauhar huwa
Etibar-e-ishq ki khana-kharabi dekhna
Ghair ne ki aah lekin vo khafa mujh par huwa
Garmi-e-daulat hui atish-zan-e-nam-e-niko
Khana-e-khatim mei yadut-e-nagin akhtar huwa
Nashsha mei gum-karda-rah aaya vo mast-e-fitna khu
Aaj rang-rafta daur-e-gardish-e-saghar huwa
Dard se dar-parda di mizhgan-siyahan ne shikast
Reza reza ustukhan ka post mei nashtar huwa
Zohd gardidan hai gard-e-khana-ha-e-muniman
Dana-e-tasbih se main mohra-dar-shashdar huwa
Ai ba-zabt-e-hal-e-na-afsurdagan josh-e-junun
Nashsha-e-mai hai agar yak-parda nazuk-tar huwa
Is chaman mei resha-dari jis ne sar khencha 'Asad'
Tar zaban-e-lutf-e-am-e-saqi-e-kausar huwa
No comments
Post a Comment