Qafas mei hun gar achchha bhi na janen mere shevan ko
Mera hona bura kya hai nava-sanjan-e-gulshan ko
Nahin gar hamdami asan na ho ye rashk kya kam hai
Na di hoti khudaya arzuve-e-dost dushman ko
Na nikla aankh se teri ik aansu us jarahat par
Kiya siine mei jis ne khoon-chakan mizhgan-e-sozan ko
Khuda sharmae hathon ko ki rakhte hain kashakash mei
Kabhi mere gareban ko kabhi janan ke daman ko
Abhi ham qatl-gah ka dekhna asan samjhte hain
Kiya betab kaan mei jumbish-e-jauhar ne aahan ko
Khushi kya khet par mere agar sau baar abr aave
Samjhta hun ki dhunde hai abhi se barq khirman ko
Vafa-dari ba-shart-e-ustuvari asl iman hai
Mare but-khane mei to kaabe mei gaado barahman ko
Shahadat thi meri qismat mei jo di thi ye khu mujh ko
Jahan talvar ko dekha jhuka deta tha gardan ko
Na lut'ta din ko to kab raat ko yun be-khabar sota
Raha khatka na chori ka dua deta hun rahzan ko
Sukhan kya kah nahin sakte ki juuya hun javahir ke
Jigar kya ham nahin rakhte ki khoden ja ke maadan ko
Mere shah-e-sulaiman-jah se nisbat nahin 'Ghalib'
Faridun o jam o kekhusrau o darab o bahman ko
No comments
Post a Comment