Qarz-e-nigah-e-yar ada kar chuke hain ham
Sab kuchh nisar-e-rah-e-vafa kar chuke hain ham
Kuchh imtihan-e-dast-e-jafa kar chuke hain ham
Kuchh un ki dastaras ka pata kar chuke hain ham
Ab ehtiyat ki koi surat nahin rahi
Qatil se rasm-o-rah siva kar chuke hain ham
Dekhen hai kaun kaun zarurat nahin rahi
Ku-e-sitam mei sab ko khafa kar chuke hain ham
Ab apna ikhtiyar hai chahe jahan chalen
Rahbar se apni raah juda kar chuke hain ham
Un ki nazar mei kya karen phika hai ab bhi rang
Jiitna lahu tha sarf-e-qaba kar chuke hain ham
Kuchh apne dil ki khu ka bhi shukrana chahiye
Sau baar un ki khu ka gila kar chuke hain ham


No comments
Post a Comment