Phir lauta hai khurshid-e-jahan-tab safar se
Phir nur-e-sahar dast-o-gareban hai sahar se
Phir aag bhadakne lagi har saz-e-tarab mei
Phir shoale lapaken lage har dida-e-tar se
Phir nikla hai divana koi phunk ke ghar ko
Kuchh kahti hai har raah har ik rahguzar se
Vo rang hai imsal gulistan ki faza ka
Ojhal hui diar-e-qafas hadd-e-nazar se
Saghar to khanakte hain sharab aae na aae
Badal to garajte hain ghata barse na barse
Pa-posh ki kya fikr hai dastar sambhala
Payab hai jo mauj guzar jaegi sar se


No comments
Post a Comment