Saturday, 6 October 2018

NAQSH FARIYADI HAI KIS KI SHOKHI-E-TAHRIR KA


Naqsh fariyadi hai kis ki shokhi-e-tahrir ka
Kaghzi hai pairahan har paikar-e-tasvir ka

kaav kav-e-sakht-jani hae-tanhai na puchh
Subh karna shaam ka laana hai ju-e-shir ka

Jazba-e-be-ikhtiyar-e-shauq dkeha chahiye
Sina-e-shamshir se bahar hai dam shamshir ka

Agahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichhae
Muddaa anqa hai apne alam-e-taqriri ka

Ba-ki hun 'Ghalib' asiri mei bhi atish zer-e-pa
Mu-e-atish diida hai halqa meri zanjir ka

Atishin-pa dun gudaz-e-vahshat-e-zindan na puchh
Mu-e-atish diida hai har halqa yaan zanjir ka

Shokhi-e-nairang said-e-vahshat-e-taus hai
Dam-e-sabza mei hai parvaz-e-chaman taskhir ka

Lazzat-e-ijad-e-naz afsun-e-arz-e-zauq-e-qatl
Naal atish mei hai tegh-e-yar se nakhchir ka

Khisht pusht-e-dast-e-ijz o qalib aghosh-e-vidaa
Pur huwa hai sail se paimana kis taamir ka

Vahshat-e-khvab-e-adam shor-e-tamasha hai 'Asad'
Jo maza jauhar nahin aaina-e-taabir ka

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.