Saturday, 6 October 2018

NAALA JUZ HUSN-E-TALAB AI SITAM-IJAD NAHIN


Naala juz husn-e-talab ai sitam-ijad nahin
Hai taqaza-e-jafa shikva-e-bedad nahin

Ishq-o-mazduri-e-ishrat-gah-e-khusruv kya khuub
Ham ko taslim niko-nami-e-farhad nahin

Kam nahin vo bhi kharabi mei pe vusat malum
Dasht mei hai mujhe vo aish ki ghar yaad nahin

Ahl-e-binash ko hai tufan-e-havadis maktab
Lutma-e-mauj kam az saili-e-ustad nahin

Vaae mahrumi-e-taslim-o-bada hal-e-vafa
Janta hai ki hame taqat-e-faryad nahin

Rang-e-tamkin-e-gul-o-lala pareshan kyun hai
Gar charaghan-e-sar-e-rah-guzar-e-bad nahin

Sabad-e-gul ke tale band kare hai gulchin
Muzhda ai murgh ki gulzar mei sayyad nahin

Nafi se karti hai isbat taravish goya
Di hai ja-e-dahn us ko dam-e-ijad nahin

Kam nahin jalvagari mei, tere kuche se bahisht
Yahi naqsha hai vale is qadar abad nahin

Karte kis muh se ho ghurbat ki shikayat 'Ghalib'
Tum ko be-mehri-e-yaran-e-vatan yaad nahin

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.