Nahin hai zakhm koi bakhiye ke dar-khur mere tan mei
Huwa hai tar-e-ashq-e-yas rishta chashm-e-sozan mei
Hui hai mane-e-zauq-e-tamasha khana-virani
Kaf-e-sailab baaqi hai ba-rang-e-pumba rauzan mei
Vadiat-khana-e-badad-e-kavish-ha-e-mizhgan hun
Nagin-e-nam-e-shahid hai mere har qatra-e-khoon tan mei
Bayan kis se ho zulmat-gustari mere shabistan ki
Shab-e-mah ho jo rakh dun pamba divaron ke rauzan mei
Nikohish mana-e-be-rabti-e-shor-e-junun aai
Huwa hai khanda-e-ahbab bakhiya jeb-o-daman mei
Huwe us mehr-vash ke jalva-e-timsal ke aage
Par-afshan jauhar aaine mei misl-e-zarra rauzan mei
Na janun nek hun ya bad hun par sohbat-mukhalif hai
Jo gul to hun gulkhan mei jo khas hun to hun gulshan mei
Hazaron dil diye josh-e-junun-e-ishq ne mujh ko
Siyah ho kar suvaida ho gaya har qatra-e-khoon tan mei
'Asad' zindani-e-etasir-e-ulfat-ha-e-khuban hun
Kham-e-dast-e-navazish ho gaya hai tauq gardan mei
Fuzun ki doston ne hirs-e-qatil zauq-e-kushtan mei
Hoe hain bakhiya-ha-e-zakhm jauhar tegh-e-dushman mei
Tamasha kardani hai lutf-e-zakhm-e-intizar ai dil
Suvaida dagh-e-marham mardumuk hai chashm-e-sozan mei
Dil-o-din-o-khirad taraj-e-naz-e-jalva-pairai
Huwa hai jauhar-e-aaina khel-e-mor khirman mei
Nikohish mane-e-divangi-ha-e-junun aai
Lagaya khanda-e-naseh ne bakhiya jeb-o-daman mei
No comments
Post a Comment