Nafas na anjuman-e-arzu se bahar khinch
Agar sharab nahin intizar-e-saghar khinch
Kamal-e-garmi-e-sai-e-talash-e-did na puchh
Ba-rang-e-khar mere aaine se jauhar khinch
Tujhe bahana-e-rahat hai intizar ai dil
Kiya hai kis ne ishara ki naz-e-bistar khinch
Teri taraf hai ba-hasrat nazara-e-nargis
Ba-kori-e-dil-o-chashm-e-raqib saghar khinch
Ba-nim-ghamza ada kar haq-e-vadiat-e-naz
Niyam-e-parda-e-zakhm-e-jigar se khanjar khinch
Mere qadah mei hai sahba-e-atish-e-pinhan
Ba-ru-e-sufra kabab-e-dil-e-samandar khinch
Na kah ki taqat-e-rusvai-e-visal nahin
Agar yahi araq-e-fitna hai mukarrar khinch
Junun-e-aaina mushtaq-e-yak-tamasha hai
Hamare safhe pe bal-e-pari se mistar khinch
Khumar-e-minnat-e-saqi agar yahi hai 'Asad'
Dil-e-gudakhta ke mai-kademei saghar khinch
No comments
Post a Comment