Naematen baant'ta jis-samt wo zeeshan gaya
Saath hi munshi-e-rahmat ka qalamdaan gaya
Lae khabr jald ke ghairon ki taraf dhyan gaya
Mere maula, mere aaqa, tere qurbaan gaya
Aah wo aankh jo nakaame tamanna hi rahi
Hae wo dil jo tere darr se pur-armaan gaya
Dil hai wo dil jo teri yaad se mamoor raha
Sar hai wo sar jo tere qadmon pe qurban gaya
Unhe jaana, unhe maana na rakha gair se kaam
Lillahil hamd main dunya se musalmaan gaya
Aur tum par mere aaqa ki inayat na sahi
Najdiyon kalimah padhane ka bhi ehsaan gaya
Aaj lae unki panah, aaj madad maang unse
Phir na manenge, qayamat mei agar maan gaya
Uff re munkir ye badha joshe ta-assub akhir
Bhid mei haath se kambakht ke imaan gaya
Jaan-o-dil hosh-o-khird sab tau madine pohonche
Tum nahin chalte Raza saara tou samaan gaya

No comments
Post a Comment