Ae saba Mustafa se kah dena gham ke maare salaam kahte hain
Yaad karte hain tum ko shaam-o-sahar, dil hamare salaam kahte hain
Allah Allah Huzur ki baaten, Marhaba rang-o-noor ki baaten
Chand jinki balaen leta hai, aur taare salaam kahte hain
Jab Mohammad ka naam aata hai, rahmaton ka payaam aata hai
Lab hamare durood padhte hain, dil hamare salaam kahte hain
Allah Allah Huzur ki ghesu, bheeni bheeni mehekti wo khushbu
Jin se maamur hai fiza hai so, wo nazaare salaam kahte hain
Zaire taiba tu Madine mein, pyaare Aaqa se itna kehdena
Aap ki gard-e-raah ho Aaqa, Gham ke maare salaam kahte hain
Zikr tha aakhiri mahine ka, tazkira chidh gaya Madine ka
Haajiyo Mustafa se kah dena gham ke maare salaam kahte hain

No comments
Post a Comment