Na koi hijr na koi visal hai shayad
Bas ek halat-e-be-mah-o-sal hai shayad
Hua hai dair-o-haram mei jo moatakif vo yaqin
Takan-e-kashmakash-e-ehtimal hai shayad
Khayal-o-vahm se bartar hai us ki zaat so vo
Nihayat-e-havas-e-khadd-o-khal hai shayad
Main sath-e-harf pe tujh ko utaar laaya hun
Tera zaval hi mera kamal hai shayad
Main ek lamha-e-maujud se idhar na udhar
So jo bhi mere liye hain muhal hai shayad
Vo inhimak har ik kaam mei ki khatm na ho
To koi baat hui hai malal hai shayad
Guman hua hai ye amboh se javabon ke
Saval khud hi javab-e-saval hai shayad


No comments
Post a Comment