Na ham rahe na vo khvabon ki zindagi hi rahi
Guman guman si mahak khud ko dhundhti hi rahi
Ajab tarah rukh-e-aaindgi ka rang uda
Dayar-e-zat mei az-khud guzashtagi hi rahi
Harim-e-shauq ka aalam bataen kya tum ko
Harim-e-shauq mei bas shauq ki kami hi rahi
Pas-e-nigah-e-taghaful thi ik nigah ki thi
Jo dil ke chehara-e-hasrat ki tazgi hi rahi
Ajiib aaina-e-partav-e-tamanna tha
Thi us mei ek udasi ki jo saji hi rahi
Badal gaya sabhi kuchh us dayar-e-budash mei
Gali thi jo teri jaan vo teri gali hi rahi
Tamam dil ke mohalle ujad chuke the magar
Bohot dinon to hansi hi rahi khushi hi rahi
Vo dastan tumhen ab bhi yaad hai ki nahin
Jo khuun thukne valon ki be-hisi hi rahi
Sunaun main kise afsana-e-khyal-e-malal
Teri kami hi rahi aur meri kami hi rahi

 

No comments
Post a Comment