Mujh ko to gir ke marna hai
Baaqi ko kya karna hai
Shahr hai chehron ki tamsil
Sab ka rang utarna hai
Vaqt hai vo natak jis mei
Sab ko dara kar darna hai
Mere naqsh-e-sani ko
Mujh mei hi se ubharna hai
Kaisi talafi kya tadbir
Karna hai aur bharna hai
Jo nahin guzra hai ab tak
Vo lamha to guzarna hai
Apne guman ka rang tha main
Ab ye rang bikharna hai
Ham do paae hain so hamen
Mez pe ja kar charna hai
Chahe ham kuchh bhi kar len
Ham aison ko sudharna hai
Ham tum hain ik lamhe ke
Phir bhi vaada karna hai
No comments
Post a Comment