Kyun jal gaya na tab-e-rukh-e-yar dekh kar
Jalta hun apni taqat-e-didar dekh kar
Atishparast kahte hain ahl-e-jahan mujhe
Sargarm-e-nala-ha-e-sharar-bar dekh kar
Kya abru-e-ishq jahan aam ho jafa
Rukta hun tum ko be-sabab azar dekh kar
Aata hai mere qatl ko par josh-e-rashk se
Marta hun us ke haath mei talvar dekh kar
Sabit huwa hai gardan-e-mina pe khoon-e-khalq
Larze hai mauj-e-mai teri raftar dekh kar
Vo-hasrata ki yaar ne khincha sitam se haath
Ham ko haris-e-lazzat-e-azar dekh kar
Bik jaate hain ham aap mata-e-sukhan ke saath
Lekin ayar-e-tabaa-e-kharidar dekh kar
Zunnar bandh subha-e-sad-dana tod daal
Rah-rau chale hai raah ko hamvar dekh kar
In ablon se paanv ke ghabra gaya tha main
Tooti ka aks samjhe hai zangar dekh kar
Girni thi ham pe barq-e-tajalli na tur par
Dete hain baada zarf-e-qadah-khvar dekh kar
Sar phodna vo 'Ghalib'-e-shorida haal ka
Yaad aa gaya mujhe teri deewar dekh kar


No comments
Post a Comment