Koi din gar zindagani aur hai
Apne ji mei ham ne thani aur hai
Atish-e-dozakh mei ye garmi kahan
Soz-e-gham-ha-e-nihani aur hai
Bar-ha dekhi hain un ki ranjishen
Par kuchh ab ke sargirani aur hai
De ke khat muh dekhta hai nama-bar
Kuchh to paigham-e-zabani aur hai
Qata-e-emar hai aksar nujum
Vo bala-e-asmani aur hai
Ho chukin 'Ghalib' balaen sab tamam
Ek marg-e-na-gahani aur hai


No comments
Post a Comment