Kisi ko de ke dil koi nava-sanj-e-fughan kyun ho
Na ho jab dil hi siine mei to phir muh mei zaban kyun ho
Wo apni khu na chhodenge ham apni vazaa kyun chhoden
Subuk-sar ban ke kya puchhen ki ham se sargiran kyun ho
Kiya gham-khvar ne rusva lage aag is mohabbat ko
Na laave taab jo gham ki vo mera raz-dan kyun ho
Vafa kaisi kahan ka ishq jab sar phodna thahra
To phir aai sang-dil tera hi sang-e-astan kyun ho
Qafas mei mujh se rudad-e-chaman kahte na dar hamdam
Giri hai jis pe kal bijli wo mera aashiyan kyun ho
Ye kah sakte ho ham dil mei nahin hain par ye batlao
Ki jab dil mei tumhin tum ho to ankhon se nihan kyun ho
Ghalat hai jazb-e-dil ka shikva dekho jurm kis ka hai
Na khincho gar tum apne ko kashkash darmiyan kyun ho
Ye fitna aadmi ki khana-virani ko kya kam hai
Huwe tum dost jis ke dushman us ka asman kyun ho
Yahi hai azmana to satana kis ko kahte hain
Adu ke ho liye jab tum to mera imtihan kyun ho
Kaha tum ne ki kyun ho ghair ke milne mei rusvai
Baja khate ho sach kahte ho phir kahiyo ki ham kyun ho
Nikala chahta hai kaam kya tanon se tu 'Ghalib'
Tere be-mehr kahne se wo tujh par mehrban kyun ho


No comments
Post a Comment