Ki vafa ham se to ghair is ko jafa kahte hain
Hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain
Aaj ham apni pareshani-e-khatir un se
Kahne jaate to hain par dekhiye kya kahte hain
Agle vaqton ke hain ye log inhen kuchh na kaho
Jo mai o naghma ko andoh-ruba kahte hain
Dil mei aa jaae hai hoti hai jo fursat ghash se
Aur phir kaun se naale ko rasa kahte hain
Hai par-e-sarhad-e-idrak se apna masjud
Qible ko ahl-e-nazar qibla-numa kahte hain
Pa-e-afgar pe jab se tujhe rahm aaya hai
Khar-e-rah ko tere ham mehr-e-giya kahte hain
Ik sharar dil mei hai us se koi ghabraega kya
Aag matlab hai ham ko jo hava kahte hain
Dekhiye laati hai us shokh ki nakhvat kya rang
Us ki har baat pe ham nam-e-khuda kahte hain
'Vahshat' o 'Shefta' ab marsiya kahven shayad
Mar gaya 'Ghalib'-e-ashufta-nava kahte hain


No comments
Post a Comment