Saturday 13 October 2018

KHUD MAIN HI GUZAR KE THAK GAYA HUN


Khud main hi guzar ke thak gaya hun
Main kaam na kar ke thak gaya hun

Upar se utar ke taza-dam tha
Niche se utar ke thak gaya hun

Ab tum bhi to ji ke thak rahe ho
Ab main bhi to mar ke thak gaya hun

Main yaani azal ka armida
Lamhon mei bikhar ke thak gaya hun

Ab jaan ka meri jism shal hai
Main khud se hi dar ke thak gaya hun

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.