Saturday 13 October 2018

KHOOB HAI SHAUQ KA YE PAHLU BHI


Khoob hai shauq ka ye pahlu bhi
Main bhi barbad ho gaya tu bhi

Husn-e-maghmum tamkanat mei teri
Farq aaya na yak-sar-e-mu bhi

Ye na socha tha zer-e-saya-e-zulf
Ki bichhad jaegi ye khushbu bhi

Husn kahta tha chhedne vaale
Chhedna hi to bas nahin chhu bhi

Haae vo us ka mauj-khez badan
Main to pyasa raha lab-e-ju bhi

Yaad aate hain moajize apne
Aur us ke badan ka jaadu bhi

Yasmin us ki khaas mahram-e-raz
Yaad aaya karegi ab tu bhi

Yaad se us ki hai mera parhez
Ai saba ab na aaiyo tu bhi

Hain yahi 'Jaun Elia' jo kabhi
Sakht maghrur bhi the bad-khu bhi

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.