Kab wo sunta hai kahani meri
Aur phir wo bhi zabani meri
Khalish-e-ghamza-e-khoon-rez na puchh
Dekh khunaba-fishani meri
Kya bayan kar ke mera roenge yaar
Magar ashufta-bayani meri
Huun za-khud rafta-e-baida-e-khayal
Bhool jaana hai nishani meri
Mutaqabil hai muqabil mera
Ruk gaya dekh ravani meri
Qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hun
Sakht arzan hai girani meri
Gard-bad-e-rah-e-betabi hun
Sarsar-e-shauq hai baani meri
Dahan us ka jo na malum huwa
Khul gayi hech madani meri
Kar diya zof ne aajiz 'Ghalib'
Nang-e-piri hai javani meri


No comments
Post a Comment