Juz qais aur koi na aaya ba-ru-e-kar
Sahra magar ba-tangi-e-chashm-e-hasud tha
Ashuftagi ne naqsh-e-suvaida kiya durust
Zahir huwa ki daagh ka sarmaya duud tha
Tha khwab mei khayal ko tujh se muamla
Jab aankh khul gayi na ziyan tha na suud tha
Leta hun maktab-e-gham-e-dil mei sabaq hanuz
Lekin yahi ki raft gaya aur buud tha
Dhanpa kafan ne dagh-e-uyub-e-barahnagi
Maen varna har libas mei nang-e-vajud tha
Teshe baghair mar na saka kohkan 'Asad'
Sargashta-e-khumar-e-rusum-o-quyud tha
Aalam jahan ba-arz-e-bisat-e-vajud tha
Juun subh chak-e-jeb mujh tar-o-pud tha
Bazi-khur-e-fareb hai ahl-e-nazar ka zauq
Hangama garm-e-hairat-e-bud-o-nabud tha
Aalam tilism-e-shahr-e-khamoshi hai sar-basar
Ya main gharib-e-kishvar-e-guft-o-shunud tha
Tangi rafiq-e-rah thi adam ya vajud tha
Mera safar ba-tala-e-chashm-e-hasud tha
Tu yad-jahan qamash-e-havas jama kar ki maen
Hairat-mata-e-alam-e-nuqsan-o-sud tha
Gardish-muhit-e-zulm raha jis qadar falak
Maen paemal-e-ghamza-e-chashm-e-kabud tha
Puchha tha garche yaar ne ahval-e-dil magar
Kis ko dimagh-e-minnat-e-guft-o-shunud tha
Khur shabnam-ashna na huwa varna maen 'Asad'
Sar-ta-qadam guzarish-e-zauq-e-sujud tha


No comments
Post a Comment