Junun ki dast-giri kis se ho gar ho na uryani
Gareban-chak ka haq ho gaya hai meri gardan par
Ba-rang-e-kaghaz-e-atish-zada nairang-e-betabi
Hazar aaina dil bandhe hai bal-e-yak-tapidan par
Falak se ham ko aish-e-rafta ka kya kya taqaza hai
Mata-e-burda ko samjhe huwe hain qarz rahzan par
Ham aur wo be-sabab ranj-ashna dushman ki rakhta hai
Shua-e-mehr se tohmat nigah ki chashm-e-rauzan par
Fana ko saunp gar mushtaq hai apni haqiqat ka
Farogh-e-tala-e-khashk hai mauquf gulkhan par
'Asad' bismil hai kis andaz ka qatil se kahta hai
Ki mashuq-e-naz kar khoon-e-do-alam meri gardan par
Fusun-e-yak-dili hai lazzat-e-bedad dushman par
Ki vajd-e-barq juun parvana bal-afshan hai khirman par
Takalluf khar-khar-e-iltimas-e-be-qarari hai
Ki rishta badhta hai pairahan angusht-e-sozan par
Ye kya vahshat hai ai deewane pesh-az-marg vavaila
Rakhhi be-ja bina-e-khana-e-zanjir-e-shevan par


No comments
Post a Comment