Thursday 11 October 2018

HAR DHADKAN HAIJANI THI HAR KHAMOSHI TUFANI THI


Har dhadkan haijani thi har khamoshi tufani thi
Phir bhi mohabbat sirf musalsal milne ki asani thi

Jis din us se baat hui thi us din bhi be-kaif tha main
Jis din us ka khat aaya hai us din bhi virani thi

Jab us ne mujh se ye kaha tha ishq rifaqat hi to nahin
Tab main ne har shakhs ki surat mushkil se pahchani thi

Jis din vo milne aai hai us din ki rudad ye hai
Us ka blouse niranji tha us ki saari dhani thi

Uljhan si hone lagti thi mujh ko aksar aur vo yun
Mera mizaj-e-ishq tha shahri us ki vafa dahqani thi

Ab to us ke baare mei tum jo chaho vo kah daalo
Vo angdai mere kamre tak to badi ruhani thi

Naam pe ham qurban the us ke lekin phir ye taur hua
Us ko dekh ke ruk jaan bhi sab se badi qurbani thi

Mujh se bichhad kar bhi vo ladki kitni khush rahti hai
Us ladki ne mujh se bichhad kar mar aane ti thani thi

Ishq ki halat kuchh bhi nahin thi baat badhane ka fan tha
Lamhe la-fani thahre the qatron ki tughyani thi

Jis ko khud main ne bhi apni ruuh ka irfan samjha tha
Vo to shayad mere pyase honton ki shaitani thi

Tha darbar-e-kalan bhi us ka naubat-khana us ka tha
Thi mere dil ki jo raani amrohe ki raani thi

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.