Thursday, 11 October 2018

GANVAI KIS KI TAMANNA MEI ZINDAGI MAIN NE


Ganvai kis ki tamanna mei zindagi main ne
Vo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne

Tera khayal to hai par tera vajud nahin
Tere liye to ye mahfil sajai thi main ne

Tere adam ko gavara na tha vajud mera
So apni bekh-kuni ki kami na ki main ne

Hain meri zaat se mansub sad fasana-e-ishq
Aur ek satr bhi ab tak nahin likhi main ne

Khud apne ishva-o-andaz ka shahid huun main
Khud apni zaat se barti hai be-rukhi main ne

Mere harif meri yakka-taziyon pe nisar
Tamam umr halifon se jang ki main ne

Kharash-e-naghma se siina chhila hua hai mera
Fughan ki tark na ki naghma-parvari main ne

Dava se faeda maqsud tha hi kab ki faqat
Dava ke shauq mei sehat tabah ki main ne

Zabana-zan tha jigar-soz tishnagi ka azaab
So jauf-e-sina mei dozakh undel li main ne

Surur-e-mai pe bhi ghalib raha shuur mera
Ki har riayat-e-gham zehn mei rakhi main ne

Gham-e-shuur ko dam to mujh ko mohlat de
Tamam-umr jalaya hai apna ji main ne

Ilaaj ye hai ki majbur kar diya Jaun
Vagarna yuun to kisi ki nahin suni main ne

Raha main shahid-e-tanha nashin-e-masnad-e-gham
Aur apne karb-e-ana se gharaz rakhi main ne

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.