Dil pareshan hai kya kiya jae
Aql hairan hai kya kiya jae
Shauq-e-mushqil-pasand un ka husul
Sakht asan hai kya kiya jae
Ishq-e-khuban ke saath hi ham mei
Naz-e-khuban hai kya kiya jae
Be-sabab hi meri tabiat-e-gham
Sab se nalan hai kya kiya jae
Bavajud un ki dil-navazi ke
Dil gurezan hai kya kiya jae
Main to naqd-e-hayat laaya tha
Jiins-e-arzan hai kya kiya jae
Ham samajhte the ishq ko dushvar
Ye bhi asan hai kya kiya jae
Vo baharon ki naz-parvarda
Ham pe nazan hai kya kiya jae
Misr-e-lutf-o-karam mei bhi ai 'Jaun'
Yad-e-kanan hai kya kiya jae


No comments
Post a Comment