Dil ne vafa ke naam par kar-e-vafa nahin kiya
Khud ko halak kar liya khud ko fida nahin kiya
Khira-saran-e-shauq ka koi nahin hai jumba-dar
Shahr mei is giroh ne kis ko khafa nahin kiya
Jo bhi ho tum pe motariz us ko yahi javab do
Aap bohot sharif hain aap ne kya nahin kiya
Nisbat ilm hai bohot hakim-e-vaqt ko aziiz
Us ne to kar-e-jahl bhi be-ulama nahin kiya
Jis ko bhi shaikh o shaah ne hukm-e-khuda diya qarar
Ham ne nahin kya vo kaam haan ba-khuda nahin kiya


No comments
Post a Comment