Monday, 8 October 2018

DIL KITNA ABAD HUWA JAB DIID KE GHAR BARBAD HUWE


Dil kitna abad huwa jab diid ke ghar barbad huwe
Vo bichhda aur dhyan mei us ke sau mausam ijad huwe

Namvari ki baat digar hai varna yaaro socho to
Gulgun ab tak kitne teshe be-khoon-e-farhad huwe

Laenge kahan se bol rasile honton ki nadari mei
Samjho ek zamana guzra boson ki imdad huwe

Tum meri ik khud-masti ho main huun tumhari khud-bini
Rishte mei ik ishq ke ham tum donon be-buniyad huwe

Mera kya ik mauj-e-hava hun par yun hai ai ghuncha-dahan
Tu ne dil ka baagh jo chhoda ghunche be-ustad huwe

Ishq-mohalle mei ab yaaron kya koi maashuq nahin
Kitne qatil mausam guzre shor huwe fariyad huwe

Ham ne dil ko maar rakha hai aur jatate phirte hain
Ham dil zakhmi mizhgan khoon ham na huwe jallad huwe

Barq kiya hai aks-e-badan ne tere hamen ik tang qaba
Tere badan par jitne til hain saare ham ko yaad huwe

Tu ne kabhi socha to hoga socha bhi ai mast-ada
Teri ada ki abadi par kitne ghar barbad huwe

Jo kuchh bhi rudad-e-sukhan thi honton ki duuri se thi
Jab honton se hont mile to yak-dam be-rudad huwe

Khak-nashinon se kuche ke kya kya nakhvat karte hain
Janan jaan tere darban to firaun-o-shaddad huwe

Shahron mei hi khaak uda lo shor macha lo be-ja lo
Jin dashton ki soch rahe ho vo kab ke barbad huwe

Samton mei bikhri vo khalvat vo dil ki rang-e-abadi
Yaani vo jo bam-o-dar the yaksar gard-o-bad huwe

Tu ne rindon ka haq maara mai-khane mei raat gae
Shaikh khare sayyad hain ham to ham ne sunaya shaad huwe

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.