Monday, 8 October 2018

DIL JO DUNIYA KA HAI SAFAR DARPESH


Dil ko duniya ka hai safar darpesh
Aur charon taraf hai ghar darpesh

Hai ye aalam ajiib aur yahan
Majra hai ajib-tar darpesh

Do jahan se guzar gaya phir bhi
Main raha khud ko umr bhar darpesh

Ab main ku-e-abas shitab chalun
Kai ik kaam hain udhar darpesh

Us ke didar ki ummid kahan
Jab ki hai diid ko nazar darpesh

Ab meri jaan bach gai yaani
Ek qatil ki hai sipar darpesh

Kis tarah kuuch par kamar bandhun
Ek rahzan ki hai kamar darpesh

Khalvat-e-naz aur aaina
Khud-nigar ko hai khud-nigar darpesh

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.