Dil jo hai aag laga duun us ko
Aur phir khud hi hava duun us ko
Jo bhi hai us ko ganva baitha hai
Main bhala kaise ganva duun us ko
Tujh guman par jo imarat ki thi
Sochta hun ki main dha duun us ko
Jism mei aag laga duun us ke
Aur phir khud hi bujha duun us ko
Hijr ki nazr to deni hai use
Sochta hun ki bhula duun us ko
Jo nahin hai mere dil ki duniya
Kyun na main 'Jaun' mita duun us ko


No comments
Post a Comment