Dil guman tha gumaniyan the ham
Haan miyan dastaniyan the ham
Ham sune aur sunae jaate the
Raat bhar ki kahaniyan the ham
Jaane ham kis ki buud ka tha subut
Jaane kis ki nishaniyan the ham
Chhodte kyun na ham zamin apni
Akhirash asmainiyan the ham
Zarra bhar bhi na thi numud apni
Aur phir bhi jahaniyan the ham
Ham na the ek aan ke bhi magar
Javedan javidaniyan the ham
Roz ik ran tha tir-e-tarkash bin
The kamin aur kamaniyan the ham
Arghavani tha vo piyala-e-naf
Ham jo the urghavaniyan the ham
Nas-e-pistan thi vo qattala
Aur navas-darmiyaniyan the ham
Na-gahan thi ik aan aan ki thi
Ham jo the nagahaniyan the ham


No comments
Post a Comment