Diid ki ek aan mei kar-e-davam ho gaya
Vo bhi tamam ho gaya main bhi tamam ho gaya
Ab main huun ik azaab mei aur ajab azaab mei
Jannat-e-pur-sukut mei tujh se kalam ho gaya
Aah vo aish-e-raz-e-jan haae vo aish-e-raz-e-jan
Haae vo aish-e-raz-e-jan shahr mei aam ho gaya
Rishta-e-rang-e-jan mera nikhat-e-naz se teri
Pukhta hua aur is qadar yaani ki khaam ho gaya
Puchh na vasl ka hisab haal hai ab bohot kharab
Rishta-e-jism-o-jan ke biich jism haram ho gaya
Shahr ki dastan na puchh hai ye ajiib dastan
Aane se shahryar ke shahr ghulam ho gaya
Dil ke kahaniyan banin kucha-ba-kucha ku-ba-ku
Sah ke malal-e-shahr ko shahr mei naam ho gaya
'Jaun' ki tishnagi ka tha khuub hi majra ki jo
Mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam ho gaya
Naf-piyale ko tere dekh liya mughan ne jaan
Saare hi mai-kade ka aaj kaam tamam ho gaya
Us ki nigah uth gai aur uth ke rah gaya
Meri nigah jhuk gayi aur salam ho gaya


No comments
Post a Comment