Bohot dil ko kushada kar liya kya
Zamane bhar se waada kar liya kya
To kya sach-much judai mujh se kar li
To khud apne ko aadha kar liya kya
Hunar-mandi se apni dil ka safha
Meri jaan tum se saada kar liya kya
Jo yaksar jaan hai us ke badan se
Kaho kuchh istifada kar liya kar
Bohot katra rahe ho mughbachon se
Gunah-e-tark-e-bada kar liya kya
Yahan ke log kab ke ja-chuke hain
Safar jada-ba-jada kar liya kya
Uthaya ek qadam tu ne na us tak
Bohot apne ko manda kar liya kya
Tum apni kaj-kulahi haar baethin
Badan ko be-libada kar liya kya
Bohot nazdik aati ja rahi ho
Bichhadne ka irada kar liya kya
No comments
Post a Comment