Bahar guzar di kabhi andar bhi aaenge
Ham se ye puchhna kabhi ham ghar bhi aaenge
Khud ahani nahin ho to poshish ho ahani
Yun shisha hi rahoge to patthar bhi aaenge
Ye dasht-e-be-taraf hai gumanon ka mauj-khez
Is mei sarab kya ki samundar bhi aaenge
Ashuftagi ki fasl ka aghaz hai abhi
Ashuftagan palat ke abhi ghar bhi aaenge
Dekhen to chal ke yaar tilismat-e-samt-e-dil
Marna bhi pad gaya to chalo mar bhi aaenge
Ye shakhs aaj kuchh nahin par kal ye dekhiyo
Us ki taraf qadam hi nahin sar bhi aaenge
No comments
Post a Comment