Jab ba-taqrib-e-safar yaar ne mahmil bandha
Tapish-e-shauq ne har zarre pe ik dil bandha
Ahl-e-binash ne ba-hairat-kada-e-shokhi-e-naz
jauhar-e-aaina ko tuti-e-bismil bandha
Yaas o ummeed ne yak-arbada maidan manga
Ijz-e-himmat ne tilism-e-dil-e-sail bandha
Na bandhe tishnagi-e-zauq ke mazmun 'Ghalib'
Garche dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha
Istilahat-e-asiran-e-taghaful mat puchh
Jo girah aap na kholi oose mushkil bandha
Yaar ne tishnagi-e-shauq ke mazmun chahe
Ham ne dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha
Tapish-e-aaina parvaz-e-tamanna laai
Nama-e-shauq ba-hal-e-dil-e-bismil bandha
Diida ta-dil hai yak-aaina charaghan kis ne
Khalvat-e-naz pe Pairaya-e-mahfil bandha
Na-ummeedi ne ba-taqrib-e-mazamin-e-khumar
kucha-e-mauj ko khamyaza-e-sahil bandha
Mutrib-e-dil ne mere tar-e-nafas se 'Ghalib'
Saaz par rishta paae naghma-e-'bedil' bandha
No comments
Post a Comment