Jada-e-rah khur ko waqt-e-sham hai tar-e-shuaa
Charkh va karta hai mah-e-nau se aghosh-e-vidaa
Shama sehai bazm-e-angusht-e-tahayyur dar dahan
Shoala-e-avaz-e-khuban par ba-hangam-e-simaa
Juun par-e-taus jauhar takhta mashq-e-rang hai
Bas-ki hai wo qibla-e-aaina mahv-e-ikhtiraa
Ranjish-e-hairat-e-sarishtan sina-safi Peshkash
Jauhar-e-aaina hai yaan gard-e-maidan-e-nazaa
Chaar su-e-dahr mei bazar-e-ghaflat garm hai
Aql ke nuqsan se uth'ta hai khayal-e-intifaa
Ashna 'Ghalib' nahin hai dard-e-dil ke ashna
Varna kis ko mere afsane ki tab-e-istimaa
No comments
Post a Comment