Saturday, 29 September 2018

ISHRAT-E-QATRA HAI DARIYA MEI FANA HO JAANA


Ishrat-e-qatra hai dariya mei fana ho jaana
Dard ka had se guzarna hai dava ho jaana

Tujh se qismat mei meri surat-e-qufl-e-abjad
Tha likha baat ke bante hi juda ho jaana

Dil huwa kasmakash-e-chara-e-zehmat mei tamaam
Mit gaya ghisne mei is uqde ka va ho jaana

Ab jafa se bhi hain mahrum ham allah allah
Is qadar dushman-e-arbab-e-vafa ho jaana

Zoaf se girya mubaddal ba-dam-e-sard huwa
Bavar aay hamen paani ka hava ho jaana

Dil se mitna teri angusht-e-hinaai ka khayal
Ho gaya gosht se nakhun ka juda ho jaana

Hai mujhe abr-e-bahari ka baras kar khulna
Rote rote gham-e-furqat mei fanaa ho jaana

Gar nahin nikhat-e-gul ko tere kuche ki havas
Kyun hai gard-e-rah-e-jaulan-e-saba ho jaana

Bakhshe hai jalva-e-gul zauq-e-tamasha 'Ghalib'
Chashm ko chahiye har rang mei va ho jaana

Ta ki tujh par khule ejaaz-e-hava-e-saiqal
Dekh barsat mei sabz aaine ka ho jaana

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.