Girani-e-shab-e-hijran do-chand kya karte
Ilaj-e-dard tere dardmad kya karte
Wahin lagi hai jo nazuk maqam the dil ke
Ye farq dast-e-adu ke gazand kya karte
Jagah jagah pe the naseh to ku-ba-ku dilbar
Inhen pasand unhe na-pasand kya karte
Hamin ne rok liya panja-e-junun warna
Hamen aseer ye kotah-kamand kya karte
Jinhe khabar thi ki shart-e-nava-gari kya hai
Wo khush-nava gila-e-qaid-o-band kya karte
Gulu-e-ishq ko dar-o-rasan pahunch na sake
To laut aae tere sar-buland kya karte

