Thursday, 27 September 2018

DIL MERA SOZ-E-NIHAN SE BE-MUHABA JAL GAYA


Dil mera soz-e-nihan se be-muhaba jal gaya
Atish-e-khamosh ki manind goya jal gaya

Dil mei zauq-e-vasl o yaad-e-yaar tak baaqi nahin
Aag is ghar mei lagi aisi ki jo tha jal gaya

Mae Adam se bhi pare hun warna ghafil bar-ha
Meri ah-e-atishin se bal-e-unqa jal gaya

Arz kiije jauhar-e-andesha ki garmi kahan
Kuch khayal aaya tha vahshat ka ki sahra jal gaya

Dil nahin tujh ko dikhata warna daghon ki bahar
Is charaghan ka karun kya kar-farma jal gaya

Mae hun aur afsurdagi ki aarzu 'Ghalib' ki dil
Dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya

Khanman-e-ashiqan dukan-e-atish-baz hai
Shola-ru jab ho gae harm-e-tamasha jal gaya

Ta kuju afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayal
Dil ba-soz-e-atish-e-dagh-e-tamanna jal gaya

Hai 'Asad' begana-e-afsurdagi ai bekasi
Dil z-andaz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya

Duud mera sumbulistan ke kare hai ham-sari
Bas-ki shauq-e-atish-e-gul se sarapa jal gaya

Shama-ruyan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar
Ghuncha-e-gul par-fishan parvana-asa jal gaya

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.