Wednesday, 26 September 2018

CHAND NIKLE KISI JANIB TERI ZE


Chand nikle kisi janib teri zebai ka
Rang badle kisi surat shab-e-tanhai ka

Daulat-e-lab se phir ai khusrav-e-shirin-dahanan
Aaj arzan ho koi harf shanasai ka

Garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badanan
Tazkira chhede teri pairahan-araai ka

Sehn-e-gulshan mei kabhi aai shah-e-shamshaad-qadan
Phir nazar aae saliqa teri raanaai ka

Ek baar aur masiha-e-dil-e-dil-zadagan
Koi vaada koi iqrar masihai ka

Deeda o dil ko sambhalo ki sar-e-sham-e-firaq
Saz-o-saman baham pahuncha hai rusvai ka
Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.