Aaj lab-e-guhar-fishaan aap ne wa nahi kiya
Tazkira-e-khajista-e-ab-o-hava nahi kiya
Kaese kahe ki tujh ko bhi ham se hai vasta koi
Tu ne to ham se aaj tak koi gila nahi kiya
Jaane tere nahi ke saath kitne hi jabr the ki the
Main ne tere lihaz mei tera kahan nahi kiya
Mujh ko ye hosh hi na tha tu mere bazuon mei hai
Yaani tujhe abhi tak maene riha nahi kiya
Tu bhi kisi ke baab mei ahd-shikan ho ghaliban
Mae ne bhi ek shakhs ka qarz ada nahi kiya
Haan wo nigah-e-naz bhi ab nahi maajra-talab
Ham ne bhi ab ki fasl mei shor bapaa nahi kiya

