Jab se khat hai siyah-khal ki thang
Tab se lut'ti hai hind charon daang
Baat amal ki chali hi jaati hai
Hai magar auj-bin-unuq ki taang
Ban jo kuchh ban sake javani mei
Raat to thodi hai bahut hai saang
Ishq ka shor koi chhupta hai
Nala-e-andalib hai gul-bang
Us zaqan mei bhi sabzi hai khat ki
Dekho jidhar kunen padi hai bhang
Kis tarah un se koi garm mile
Sim-tan pighle jaate hain jon raang
Chali jaati hai hasab qadr-e-buland
Duur tak su pahad ki hai daang
Tarfa batil tha tuur par apne
Varna jaate ye daud ham bhi phalang
Main ne kya us ghazal ko sahal kiya
Qafiye hi the us ke ut-patang
'Meer' bandon se kaam kab nikla
Mangna hai jo kuchh khuda se maang
No comments
Post a Comment