Friday, 5 October 2018

YAK-ZARRA-E-ZAMIN NAHIN BE-KAR BAAGH KA


Yak-zarra-e-zamin nahin be-kar baagh ka
Yaan jaada bhi fatila hai laale ke daagh ka

Be-mai kise hai taqat-e-ashob-e-agahi
Khincha hai ijz-e-hausla ne khat ayagh ka

Bulbul ke karobar pe hain khanda-ha-e-gul
Kahte hain jis ko ishq khalal hai dimagh ka

Taaza nahin hai nashsha-e-fikr-e-sukhan mujhe
Tiryaki-e-qadim hun dud-e-charagh ka

Sau baar band-e-ishq se azad ham huwe
Par kya karen ki dil hi adu hai faragh ka

Be-khoon-e-dil hai chashm mei mauj-e-nigah ghubar
Ye mai-kada kharab hai mai ke suragh ka

Bagh-e-shagufta tera bisat-e-nashat-e-dil
Abr-e-bahar khum-kada kis ke dimagh kaa?

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.