Sunday, 7 October 2018

SIYAHI JAISE GIR JAAE DAM-E-TAHRIR KAGHAZ PAR


Siyahi jaise gir jaae dam-e-tahrir kaghaz par
Meri qismat mei yun tasvir hai shab-ha-e-hijran ki

Kahun kya garm-joshi main-kashi mei shoala-ruyan ki
Ki sham-e-khana-e-dil atish-e-mai se farozan ki

Hamesha mujh ko tifli mei bhi mashq-e-terah-rozi thi
Siyahi hai mere ayyam mei lauh-e-dabistan ki

Daregh! ah-e-sahar-gah kar-e-bad-e-subh karti hai
Ki hoti hai ziyada sard-mehri shama-ruyan ki

Mujhe apne juunun ki be-takalluf parda-dari thi
Va-lekin kya karun aave jo rusvai gareban ki

Hunar paida kiya hai main ne hairat-azmai mei
Ki jauhar aaine ka har palak hai chashm-e-hairan ki

Khudaya kis qadar ahl-e-nazar ne khaak chhani hai
Ki hain sad-rakhna juun ghirbal divaren gulistan ki

Huwa sharm-e-tahi-dasti se se vo bhi sar-nigun akhir
Bas-ai zakhm-e-jigar ab dekh le shorish namak-dan ki

Bayad-e-garmi-e-sohbat ba-rang-e-shoala dahke hai
Chhupaun kyuki 'Ghalib' sozishen dagh-e-numayan ki

Junun tohmat-kash-e-taskin na ho gar shadmani ki
Namak-pash-e-kharash-e-dil hai lazzat zindagani ki

Kashkash-ha-e-hasti se kare kya sai-e-azadi
Hui zanjir-e-mauj-e-ab ko fursat ravani ki

Na khinch ai sai-e-dast-na-rasa zulf-e-tamanna ko
Pareshan-tar hai mu-e-khama se tadbir maani ki

Kahan ham bhi rag-o-pai rakhte hain insaf bahattar hai
Na khinche taqat-e-khamyaza tohmat na-tavani ki

Takalluf-bartaraf farhad aur itni subukdasti
Khayal asan tha lekin khvab-e-khusrav ne girani ki

Par-az-murdan bhi divana ziyarat-gah-e-tiflan hai
Sharar-e-sang ne turbat pe meri gul-fishani ki

'Asad' ko boriye mei dhar ke phunka mauj-e-hasti ne 
Faqiri mei bhi baaqi hai shararat naujavani ki

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.