Shahr-ba-shahr kar safar zad-e-safar liye baghair
Koi asar kiye baghair koi asar liye baghair
Koh-o-kamar mei ham-safir kuchh nahin ab ba-juz hava
Dekhiyo palatiyo na aaj shahr se par liye baghair
Vaqt ke maarke mei thiin mujh ko riayaten havas
Main sar-e-ma'arka gaya apni sipar liye baghair
Kuchh bhi ho qatl-gah mei husn-e-badan ka hai zarar
Ham na kahin se aaenge dosh pe sar liye baghair
Qarya-e-girya mei mera girya hunar-varana hai
Yaan se kahin talunga main dad-e-hunar liye baghair
Us ke bhi kuchh gile hain dil un ka hisab tum rakho
Diid ne us mei ki basar us ki khabar liye baghair
Us ka sukhan bhi ja se hai aur vo ye ki 'Jaun' tum
Shohra-e-shahr ho to kya shahr mei ghar liye baghair


No comments
Post a Comment