Rashk kahta hai ki us ka ghair se ikhlas haif
Aql kahti hai ki vo be-mehr kis ka ashna
Zarra zarra saghar-e-mai-khana-e-nai-rang hai
Gardish-e-majnun ba-chashmak-ha-e-laila ashna
Shauq hai saman-taraz-e-nazish-e-arbab-e-ajz
Zarra asahra-dast-gah o qatra dariya-ashna
Main aur ek aafat ka tukda vo dil-e-vahshi ki hai
Afiyat ka dushman aur avargi ka ashna
Shikva-sanj-e-rashk-e-ham-digar na rahna chahiye
Mera zaanu munis aur aaina tera ashna
Kohkan naqqash-e-yak-timsal-e-shirin tha 'Asad'
Sang se sar maar kar hove na paida ashna
Khud-parasti se rahe baham-digar na-ashna
Bekasi meri sharik aaina tera ashna
Atish-e-mu-e-dimagh-e-shauq hai tera tapak
Varna ham kis ke hain ai dagh-e-tamanna ashna
Jauhar-e-aaina juz ramz-e-sar-e-mizhgan nahin
Ashna ki ham-digar samjhe hai iima ashna
Rabt-e-yak-shiraza-e-vahshat hain ajza-e-bahar
Sabza begana saba avara gul na-ashna
Be-dimaghi shikva-sanj-e-rashk-e-ham-digar nahin
Yaar tera jam-e-mai khamyaza mera ashna
No comments
Post a Comment