Phir aaina-e-alam shayad ki nikhar jaae
Phir apni nazar shayad ta-hadd-e-nazar jaae
Sahra pe lage pahre aur qufl pade ban par
Ab shahr-badar ho kar divana kidhar jaae
Khak-e-rah-e-janan par kuchh khoon tha girau apna
Is fasl mei mumkin hai ye qarz utar jaae
Dekh aaen chalo ham bhi jis bazm mei sunte hain
Jo khanda-ba-lab aae vo khak-basar jaae
Ya khauf se dar-guzren ya jaan se guzar jaaen
Marna hai ki jiina hai ik baat thahar jaae


No comments
Post a Comment