Na to dil ka na jaan ka daftar hai
Zindagi ik ziyan ka daftar hai
Padh raha hun main kaghazat-e-vajud
Aur nahin aur haan ka daftar hai
Koi soche to soz-e-karb-e-jan
Saara daftar guman ka daftar hai
Ham mei se koi to kare israr
Ki zamin asman ka daftar hai
Hijr taatil-e-jism-o-jan hai miyan
Vasl jism aur jaan ka daftar hai
Vo jo daftar hai asmani-tar
Vo miyan ji yahan ka daftar hai
Hai jo bud-o-nabud ka daftar
Akhirash ye kahan ka daftar hai
Jo haqiqat hai dam-ba-dam ki yaad
Vo to ik dastan ka daftar hai
Ho raha hai guzishtagan ka hisab
Aur aaindagan ka daftar hai


No comments
Post a Comment